اردو हिंदी
Laega rang zabt-e-fughan dekhte raho | Shaahi Shayari
laega rang zabt-e-fughan dekhte raho

Ghazal

Laega rang zabt-e-fughan dekhte raho

Hosh Tirmizi

;

laega rang zabt-e-fughan dekhte raho
phuTegi har kali mein zaban dekhte raho

barpa sar-e-hayat hai ek hashr-e-dar-o-gir
deta hai kaun kis ko aman dekhte raho

dam-bhar ko aastan-e-tamanna pe hai hujum
jae bichhaD ke kaun kahan dekhte raho

milne ko hai KHamoshi-e-ahl-e-junun ki dad
uThne ko hai zamin se dhuan dekhte raho

mahfil mein un ki shama jali hai ki jaan-o-dil
khulta hai kab ye raaz-e-nihan dekhte raho

hai barg-e-gul ko barish-e-miqraaz ke payam
tarz-e-tapak-e-ahl-e-jahan dekhte raho

aai nigar-e-gham ki sada 'hosh' hum chale
tum imtiyaz-e-sud-o-ziyan dekhte raho