la-makan se bhi pare KHud se mulaqat karen
khul ke tanhai ki wusat pe zara baat karen
har baDe nam ko chhoTon se jila milti hai
shahr ki hashiya-arai mazafat karen
laj virani ki rakhni hai chalo ahl-e-junun
aabla-pai se aabaad KHarabaat karen
khet sukhe to hawa phir se sanak jaegi
aap baadal hain to dawa nahin barsat karen
gulnawazo hamein kanTon ne nawaza hai bahut
hum pe wajib hai ki zaKHmon ki mudaraat karen
aish-e-awargi kya kya the teri galiyon mein
soch ki pariyan wahin ab guzar auqat karen
main agar zikr bhi us ka na karun sheron mein
istiaraat alamat ishaaraat karen
matn ko husn ke erab ata hum ne kiye
hum se tashrih talab jism ki aayat karen
ghair mahram se bacha apni ghazal ko 'azim'
chheDKHani na kahin maulwi hazraat karen
Ghazal
La-makan se bhi pare KHud se mulaqat karen
Ainuddin Azim