la ke duniya mein hamein zahr-e-fana dete hain
hae is bhul-bhulayyan mein dagha dete hain
rahm bhi zulm-o-sitam se nahin KHali un ka
daman-e-tegh se zaKHmon ko hawa dete hain
dil mein dard aankhon mein aashob-e-jigar mein sozish
ishq kya dete hain ek rog laga dete hain
munimon ka nahin daryuza-garon par ehsan
aap kya denge wo KHaliq ka diya dete hain
dahan-e-yar ki tarif likhi kya kahna
'qadr' to jhuT ko sach kar ke dikha dete hain
Ghazal
La ke duniya mein hamein zahr-e-fana dete hain
Qadr Bilgarami