kyunkar ye tuf-e-ashk se mizhgan mein lagi aag
shabnam se kahin bhi hai niyastan mein lagi aag
na us se dhuan nikle hai na shoala uThe hai
ye turfa hamare dil-e-nalan mein lagi aag
aatish jo hamare tan-e-pur-dagh ki bhaDki
daman se bujhai to gareban mein lagi aag
ghar tu ne raqibon ka na ai aah jalaya
phir kya jo mere kulba-e-ihzan mein lagi aag
shaKHen shajar-e-bid se aahu ne ragaD kar
wo shoala nikala ki bayaban mein lagi aag
tasir teri dekh li ai aah-e-sharar-bar
ek din na kabhi gumbad-e-gardan mein lagi aag
allah-re garmi-e-mai angur ki 'ghafil'
ek jam ko pite hi dil-o-jaan mein lagi aag
Ghazal
Kyunkar ye tuf-e-ashk se mizhgan mein lagi aag
Munawar Khan Ghafil

