اردو हिंदी
Kyunkar na KHaksar rahen ahl-e-kin se dur | Shaahi Shayari
kyunkar na KHaksar rahen ahl-e-kin se dur

Ghazal

Kyunkar na KHaksar rahen ahl-e-kin se dur

Bahadur Shah Zafar

;

kyunkar na KHaksar rahen ahl-e-kin se dur
dekho zamin falak se falak hai zamin se dur

parwana wasl-e-shama pe deta hai apni jaan
kyunkar rahe dil us ke ruKH-e-atishin se dur

mazmun-e-wasl-o-hijr jo name mein hai raqam
hai harf bhi kahin se mile aur kahin se dur

go tir-e-be-guman hai mere pas par abhi
jae nikal ke sina-e-charKH-e-barin se dur

wo kaun hai ki jate nahin aap jis ke pas
lekin hamesha bhagte ho tum hamin se dur

hairan hun ki us ke muqabil ho aaina
jo pur-ghurur khinchta hai mah-e-mubin se dur

yan tak adu ka pas hai un ko ki bazm mein
wo baiThte bhi hain to mere ham-nashin se dur

manzur ho jo did tujhe dil ki aankh se
pahunche teri nazar nigah-e-dur-bin se dur

duniya-e-dun ki de na mohabbat KHuda 'zafar'
insan ko phenk de hai ye iman o din se dur