kyun ye kahte ho kya nahin malum
kya mera muddaa nahin malum
dard-e-dil ki dawa nahin malum
ab umid-e-shifa nahin malum
jab se tum ne nigah pheri hai
dil ko kya ho gaya nahin malum
shikwa samjho na tum to kah bhi dun
tum ko rasm-e-wafa nahin malum
jaan lene ki Than li hai kya
kyun ho mujh se juda nahin malum
shikwa-e-baKHT hai abas 'nadir'
tujh ko rab ki raza nahin malum

Ghazal
Kyun ye kahte ho kya nahin malum
Nadir Shahjahanpuri