kyun yaqin rakkhen KHayal-o-KHwab par
jam na jae gard-e-gham aasab par
piTte rahna lakiren hai abas
ghaur karna chahiye asbab par
likh raha hai raushni ki dastan
ek diya jalta hua mehrab par
apne dukh ka majra chheDa nahin
ye mera ehsan hai ahbab par
tum bhi duniya walon jaise ho gae
paD gai thi kya nazar surKHab par
kashtiyan 'rumi' Dubote hum rahe
tohmaten lagti rahen girdab par
Ghazal
Kyun yaqin rakkhen KHayal-o-KHwab par
Rumana Rumi