kyun yaad ye sab qaht ke asbab na aae
jab hum ne dua ki thi ki sailab na aae
hum ko to utarna hai samundar ki tahon mein
hath aae ki ab gauhar-e-nayab na aae
tadbir ke mehwar pe raha mein yunhi raqsan
tabir ke markaz pe mere KHwab na aae
bahar jo uThe shor to khiDki se na jhanko
aankhon pe tumhaari kahin tezab na aae
elan kiya uDti hui KHak ne har samt
manzar pe koi KHitta-e-shadab na aae
main ne jo kaha tuKHm-e-wafa hain mere aansu
kahne lage miTTi mein unhen dab na aae
nikle hain sar-e-sham liye mashal-e-fan hum
nazdik koi kaghzi mahtab na aae
Ghazal
Kyun yaad ye sab qaht ke asbab na aae
Mahtab Alam