kyun wo mahbub ru-ba-ru na rahe
kyun nigahon mein guftugu na rahe
ishq hai muntaha-e-mahwiyyat
aarzu ki bhi aarzu na rahe
zindagi ye ki wo tujhe chahen
maut hai ye ki aabru na rahe
bandagi hai supurdagi-e-tamam
un ki marzi mein guftugu na rahe
tum jo baiThe ho chhup ke pardon mein
chashm kyun mahw-e-rang-o-bu na rahe
dil ka har bar hai naya aalam
kyun KHayalon mein guftugu na rahe
chashm-e-saqi ho mehrban agar
KHwahish-e-baada-o-subu na rahe
aankh wo us ko pa nahin sakti
KHun-e-dil se jo ba-wazu na rahe
dost se man 'taj' wo hasti
jis main kuchh farq ma-o-tu na rahe
Ghazal
Kyun wo mahbub ru-ba-ru na rahe
Zahiir Ahmad Taaj