kyun wasl mein bhi aankh milai nahin jati
wo farq dilon ka wo judai nahin jati
kya dhum bhi nalon se machai nahin jati
soti hui taqdir jagai nahin jati
kuchh shikwa na karte na bigaDta wo shab-e-wasl
ab hum se koi baat banai nahin jati
dekho to zara KHak mein hum milte hain kyunkar
ye nichi nigah ab bhi uThai nahin jati
kahti hai shab-e-hijr bahut zinda rahoge
manga karo tum maut abhi aai nahin jati
wo hum se mukaddar hain to hum un se mukaddar
kah dete hain saf apni safai nahin jati
hum sulh bhi kar len to chali jati hai un mein
baham dil o dilbar ki laDai nahin jati
KHud dil mein chale aaoge jab qasd karoge
ye rah batane se batai nahin jati
chhupti hai 'jalal' aankhon mein kab hasrat-e-didar
sau parde agar hon to chhupai nahin jati
Ghazal
Kyun wasl mein bhi aankh milai nahin jati
Jalal Lakhnavi