اردو हिंदी
Kyun ujaD jati hai dil ki mahfil | Shaahi Shayari
kyun ujaD jati hai dil ki mahfil

Ghazal

Kyun ujaD jati hai dil ki mahfil

Saifuddin Saif

;

kyun ujaD jati hai dil ki mahfil
ye diya kaun bujha deta hai

wo nahin dekhte sahil ki taraf
jin ko tufan sada deta hai

shor din ko nahin sone deta
shab ko sannaTa jaga deta hai

tum to kahte the ki rut ka jadu
dasht mein phul khila deta hai

us ki marzi hai wo har rahat mein
ranj thoDa sa mila deta hai

dukh to deta hai tera gham lekin
dil ko iksir bana deta hai

tujh se pahle dil-e-betab mujhe
teri aamad ka pata deta hai

jaan-e-man ek hasin chehra bhi
sari mahfil ko saja deta hai

ab tasalli bhi aziyyat hai mujhe
ab dilasa bhi rula deta hai