kyun tu ne wa kiya tha band-e-qaba chaman mein
uDti phire hai gul se bulbul KHafa chaman mein
har samt ab saba jo phirti hai KHak uDati
bulbul ke par paDe hain kya ja-ba-ja chaman mein
nargis ki aankh tujh par paDti hai be-tarah si
mat waqt-e-sham jaana bahr-e-KHuda chaman mein
jun lala dagh-e-dil yan phir jal uTha hai shayad
jata hai sair karne wo bewafa chaman mein
jeb apna gul ne phaDa bulbul mui 'murawwat'
kyun apne gham ka qissa tu ne kaha chaman mein

Ghazal
Kyun tu ne wa kiya tha band-e-qaba chaman mein
Sagheer Ali Murawat