اردو हिंदी
Kyun tere sath rahin umr basar hone tak | Shaahi Shayari
kyun tere sath rahin umr basar hone tak

Ghazal

Kyun tere sath rahin umr basar hone tak

Rehman Faris

;

kyun tere sath rahin umr basar hone tak
hum na dekhenge imarat ko khanDar hone tak

tum to darwaza khula dekh ke dar aae ho
tum ne dekha nahin diwar ko dar hone tak

chup rahin aah bharen chiKH uThen ya mar jaen
kya karen be-KHabaro tum ko KHabar hone tak

hum pe kar dhyan are chand ko takne wale
chand ke pas to mohlat hai sahar hone tak

haal mat pochhiye kuchh baaten batane ki nahin
bas dua kije duaon mein asar hone tak

sag-e-awara ke manind mohabbat ke faqir
dar-ba-dar hote rahe shahr-badar hone tak

aap mali hain na suraj hain na mausam phir bhi
bij ko dekhte rahiyega samar hone tak

dasht-e-KHamosh mein dam sadhe paDa rahta hai
panw ka pahla nishan rah-guzar hone tak

fani hone se na ghabraiye 'faris' ki hamein
an-ginat martaba marna hai amar hone tak