اردو हिंदी
Kyun shauq baDh gaya ramazan mein singar ka | Shaahi Shayari
kyun shauq baDh gaya ramazan mein singar ka

Ghazal

Kyun shauq baDh gaya ramazan mein singar ka

Ahmad Husain Mail

;

kyun shauq baDh gaya ramazan mein singar ka
roza na TuT jae kisi roza-dar ka

un ka wo shoKHiyon se phaDakna palang par
wo chhatiyon pe loTna phulon ke haar ka

hur aae KHuld se to biThaun kahan use
aarasta ho ek to kona mazar ka

shishon ne tarz uDai ruku o qayam ki
kya in mein hai lahu kisi parhez-gar ka

kyun ghash hue kalim tajalli-e-tur par
wo ek charagh tha mere dal ke mazar ka

baad-e-fana bhi saf nahin dil raqib se
gumbad khaDa hua hai lahad par ghubar ka

kasrat ka rang shahid-e-wahdat ka hai banaw
wo ek hi se nam hai hazda hazar ka

naqus bin ke puchhne jaun agar mizaj
but bhi kahenge shukr hai parwardigar ka

dulha ki ye baraat hai rasmen ada karo
dar par janaza aaya hai ek jaan-nisar ka

kya kya taDap taDap ke sarafil gir paDe
dam aa gaya jo sur mein mujh be-qarar ka

surma ke sath phail ke kya wo bhi miT gaya
kyun nam tak nahin teri aankhon mein pyar ka

kya raat se kisi ki nazar lag gai ise
achchha nahin mizaj dil-e-be-qarar ka

aankhen meri faqir huin shauq-e-did mein
tasma kamar mein hai nigah-e-intizar ka

luTun maze jo bazi-e-shatranj jit lun
is khel mein to wada hai bos-e-kanar ka

allah mera ghafur mohammad mere shafia
'mail' ko KHauf kuchh nahin roz-e-shumar ka