kyun shahr mein har-samt se uThta hai dhuan dekh
kya haal mohalle ka hai ja apna makan dekh
aafaq uDanon ke abhi aur bahut hain
ai tair-e-parwaz kabhi apna jahan dekh
deta nahin nafrat ka shajar dhup mein saya
behtar hai koi saya-e-diwar aman dekh
aakash ye taron ki ziya dekhne wale
agle hai zamin chand bhi suraj bhi yahan dekh
lagta hai koi tir jigar chir ke nikle
lachke hai sitamgar tere abru ki kaman dekh
kyun kahte hain sab mujh ko buzurg aap buzurg aap
aa tu bhi mere mathe pe sajdon ke nishan dekh
kahna hi paDa 'nur' ke ashaar ko sun kar
kya KHub hai zalim ka bhi andaz-e-bayan dekh
Ghazal
Kyun shahr mein har-samt se uThta hai dhuan dekh
Noor muneeri