kyun sadgi se us ki takrar ho gai hai
tahzib se tabiat bezar ho gai hai
nikli zaban se thi chhoTi si baat lekin
mabain do dilon ke diwar ho gai hai
kaliyan khila rahi thi shoKHi nasim-asa
jab tanz ban gai hai talwar ho gai hai
duniya ke mashghalon mein ye ghir gaya hai aisa
ab dil se baat karni dushwar ho gai hai
pheri nigah mujh se jaise na jaante hon
aankhon ki sai-e-aKHfa izhaar ho gai hai
upar tale lage hain ambar har tarah ke
nagri ye hafiza ki bazar ho gai hai
aai hai arz sari ab us ke daere mein
taKHil pa-ba-jaulan pur-kar ho gai hai
hami bhari thi dil ne taghir-e-rang dekho
jab tak labon pe aai inkar ho gai hai
Ghazal
Kyun sadgi se uski takrar ho gai hai
Syed Hamid