kyun sa rahta hai kya sa rahta hai 
dil jo khoya hua sa rahta hai 
ek sanahaTe ka sine mein 
bhagna dauDna sa rahta hai 
main kahin aaun main kahin jaun 
waqt jaise ruka sa rahta hai 
subh ka dil kahin nahin lagta 
sham ka dam ghuTa sa rahta hai 
dil ke aane ka dil ke jaane ka 
ek dhaDka laga sa rahta hai 
ai KHalish bol kya yahi hai KHuda 
ye jo dil mein KHala sa rahta hai 
kun hai darkar us ke hone ko 
kaam wo jo zara sa rahta hai
        Ghazal
Kyun sa rahta hai kya sa rahta hai
Meer Ahmad Naved

