kyun rang-e-surKH tera ab zard ho gaya hai
tu hi magar hamara hamdard ho gaya hai
we din gae ki dil mein rahta tha dard apne
ab dil nahin sarapa ek dard ho gaya hai
itna to farq mujh mein aur dil mein hai ki tujh bin
main KHak ho gaya hun wo gard ho gaya hai
hai chaak chaak sina kyunkar chhupe tu dil mein
ye to makan sara be-pard ho gaya hai
kis tarah shaiKH chheDe ab duKHt-e-raz ko aa kar
is tarf se bechaara namard ho gaya hai
yan kya na tha jo wan ki rakkhe 'hasan' tawaqqo
donon jahan se apna dil sard ho gaya hai
Ghazal
Kyun rang-e-surKH tera ab zard ho gaya hai
Meer Hasan