kyun na nairang-e-junun par koi qurban ho jae
ghar wo sahra ki bahaar aae to zindan ho jae
barq dam lene ko Thahre to rag-e-jaan ho jae
fitna-e-hashr mujassam ho to insan ho jae
jauhar-e-aina dil hai wo taswir hai tu
dil wo aaina ki tu dekh ke hairan ho jae
gham wo rahat jise qismat ke dhani pate hain
dam wo mushkil hai ki maut aae to aasan ho jae
ishq wo kufr ki iman hai dil walon ka
aql majbur wo kafir jo musalman ho jae
zarra wo raaz-e-bayaban hai jo ifsha na hua
dasht-e-wahshat hai wo zarra jo bayaban ho jae
gham-e-mehsus wo baatil jise kahte hain majaz
dil ki hasti wo haqiqat hai jo uryan ho jae
KHuld mai-KHane ko kahte hain ba-qaul-e-waiz
kaba but-KHane ko kahte hain jo viran ho jae
sajda kahte hain dar-e-yar pe mar jaane ko
qibla wo sar hai jo KHak-e-rah-e-jaanan ho jae
maut wo din bhi dikhae mujhe jis din 'fani'
zindagi apni jafaon pe pashiman ho jae
Ghazal
Kyun na nairang-e-junun par koi qurban ho jae
Fani Badayuni