kyun na le gulshan se baj us arghawan-sima ka rang
gul se hai KHush-rang-tar us ke hinai pa ka rang
jun-hi munh par se uTha di bagh mein aa kar naqab
uD gaya rang-e-chaman dekh us ruKH-e-zeba ka rang
sar pe dastar-e-basanti bar mein jama qurmuzi
khub gaya dil mein hamare us gul-e-rana ka rang
aaj saqi dekh tu kya hai ajab rangin hua
surKH mai kali ghaTa aur sabz hai mina ka rang
de tu is abr-e-siyah mein jam jaldi se mujhe
dil bhara aata hai mera dekh kar sahba ka rang
jis taraf dekhun hun ab 'bedar' tere ashk se
ho raha hai surKH yaksar daman-e-sahra ka rang
Ghazal
Kyun na le gulshan se baj us arghawan-sima ka rang
Meer Mohammadi Bedar