kyun na kahen bashar ko hum aatish-o-ab o KHak-o-baad
qudrat-e-haq se hain baham aatish-o-ab o KHak-o-baad
aKHgar-e-ghuncha aab-ju gard-e-chaman nasim-e-subh
hain ye girah-kusha-e-gham aatish-o-ab o KHak-o-baad
huqqe ko ahl-e-marifat kyun-ki na samjhen hamdam ab
ye bhi rakhe hai besh-o-kam aatish-o-ab o KHak-o-baad
sozish-e-dagh-o-abla gard-e-alam shumar-e-dam
hijr mein chaaron hain baham aatish-o-ab o KHak-o-baad
barq-o-sahab o gard-baad dasht-e-junun mein sath hain
hain ye mere rafiq-e-dam aatish-o-ab o KHak-o-baad
ru o araq ghubar-e-KHat jumbish-e-zulf ki hawa
chaaron hain dil ke haq mein sam aatish-o-ab o KHak-o-baad
chashm mein aatishin hain ashk dil mein ghubar-e-ah-e-sard
donon se lete hain janam aatish-o-ab o KHak-o-baad
mujh ko KHudai ki qasam rakhte hain ghere dam-ba-dam
tere ye ishq mein sanam aatish-o-ab o KHak-o-baad
kyun na hawas-e-KHamsa gum ahl-e-suKHan ke hon 'nasir'
tujh hi se bas hue raqam aatish-o-ab o KHak-o-baad
Ghazal
Kyun na kahen bashar ko hum aatish-o-ab o KHak-o-baad
Shah Naseer