kyun na ho dad-talab himmat-e-mardana-e-dil
mail-e-husn-e-jahan-soz hai parwana-e-dil
ek ibrat ka muraqqa hai alam-KHana-e-dil
hasrat-o-yas ka afsana hai afsana-e-dil
jis ko rahti hai kisi aur ke jalwe ki talash
us ne dekha hi nahin jalwa-e-jaanana-e-dil
ab main samjha ki mohabbat mein asar hai kitna
log sunte hain baDe shauq se afsana-e-dil
qabil-e-dad hai ye shauq-e-talab ai saqi
le ke aaya hun main TuTa hua paimana-e-dil
ek zamane ko jila deta hai jal kar ai 'arsh'
shola-e-barq-e-jahan-soz hai parwana-e-dil
Ghazal
Kyun na ho dad-talab himmat-e-mardana-e-dil
Arsh Malsiyani

