اردو हिंदी
Kyun na ho baam pe wo jalwa-numa tisre din | Shaahi Shayari
kyun na ho baam pe wo jalwa-numa tisre din

Ghazal

Kyun na ho baam pe wo jalwa-numa tisre din

Nazeer Akbarabadi

;

kyun na ho baam pe wo jalwa-numa tisre din
mah bhi chhup ke nikalta hai dila tisre din

hath se ab to qalam rashk-e-masiha rakh de
nusKHe badle hain jahan ke hukama tisre din

gharq-e-dariya-e-mohabbat ki nahin milti lash
warna Duba hua nikle hai suna tisre din

dil-e-bimar rahe ishq mein kyun kar sarsabz
KHak se dane ko hai nashw-o-numa tisre din

chhoD mat zulf ke mare ko tu dariya mein hanuz
sanp ke kaTe ko dete hain baha tisre din

ab zara chashm ke bimar ka kar apne ilaj
hoti malum hai tasir-e-dawa tisre din

log kahte hain ki hain phul tere kushte ke
mehndi haton mein tu qatil laga tisre din

umr ek hafta nahin bagh mein ai gul mat phul
rang badle hai zamane ki hawa tisre din

chaar harf us but-e-pur-KHun ke upar bhej 'nazir'
aap se aap jo ho jae KHafa tisre din