kyun na hum yaad kisi ko sahar-o-sham karen
ho na itna bhi mohabbat mein to kya kaam karen
hae turbat pe mari naz se kahna un ka
aap leTe hue ab hashr tak aaram karen
is zamane mein tere baadiya-paima bhi ajab
jam ke baiThen jo kahin misl-e-nagin nam karen
kaba-o-dair ka miT jae jahan se jhagDa
jalwa-e-husn-e-haqiqat wo agar aam karen
shaiKH-ji ye bhi koi baat hai maiKHane mein
aap roza rahen hum shaghl-e-mai-o-jam karen
muft-KHori ka tariqa nahin achchha sahab
hum bhi kuchh kaam karen aap bhi kuchh kaam karen
aaj hi kyun na gale mil len kise kal malum
hum kahan subah karen aap kahan sham karen
aap ka naqsh-e-qadam pesh-e-nazar hai jin ke
sajda-e-shauq na kyunkar wo ba-har-gam karen
hans ke farmate hain mujh aashiq-e-gumnam se wo
aap badnam jo ho jaen baDa nam karen
sach to hai apni hi ghaflat ne hai raunda hum ko
kis liye hum gila-e-gardish-e-ayyam karen
mil ke gulchin se ye sayyaad ne ki hai sazish
phunk kar sahn-e-chaman barq ko badnam karen

Ghazal
Kyun na hum yaad kisi ko sahar-o-sham karen
Rahmat Ilahi Barq Aazmi