kyun na hum soch ke sanche mein hi Dhal kar dekhen
wo jo qaem hai to phir KHud ko badal kar dekhen
go masafat hai kaThin aur na rasta koi
lekin is haal mein achchha hai ki chal kar dekhen
hum mohabbat ko mukammal nahin zahir karte
wo hina-barg ko chuTki mein masal kar dekhen
zindagi maut mein maKHfi hai yaqinan apni
misl-e-parwana chalo hum bhi to jal kar dekhen
ek koshish jo hai us ki use anjam to den
is ki KHwahish pe zara der ko Tal kar dekhen
'sad' logon se tawaqqo ho to kis baat pe ho
mung chhati pe mere roz wo dal kar dekhen
Ghazal
Kyun na hum soch ke sanche mein hi Dhal kar dekhen
Saadullah Shah