kyun na apni KHubi-e-qismat pe itraati hawa
phul jaise ek badan ko chhu kar aai thi hawa
yun KHayal aata hai us ka yaad aae jis tarah
garmiyon ki dopahar mein sham ki ThanDi hawa
aur abhi sulgenge hum kamre ke aatish-dan mein
aur abhi kohsar se utregi barfili hawa
hum bhi ek jhonke se lutf-andoz ho lete kabhi
bhule-bhaTke is gali mein bhi chali aati hawa
ek zahrila dhuan bikhra gai chaaron taraf
sab ko andha kar gai aisi chali andhi hawa
us ne likh bheja hai ye pipal ke patte par mujhe
kya tujhe ras aa gai bijli ke pankhe ki hawa
kyun kar ai 'abid' bujha pata main apni tishnagi
mujh tak aane hi se pahle ho gaya pani hawa
Ghazal
Kyun na apni KHubi-e-qismat pe itraati hawa
Abid Munavari