kyun mere lab pe wafaon ka sawal aa jae
ain mumkin hai use KHud hi KHayal aa jae
hijr ki sham bhi sine se laga leta hun
kya KHabar yunhi kabhi sham-e-visal aa jae
ghar isi waste jangal mein badal Dala hai
shayad aise hi idhar mera ghazal aa jae
dhanak ubhre sar-e-aflak kaDi dhup mein bhi
dasht-e-wahshat mein agar tera KHayal aa jae
koi to uD ke dahakta hua suraj Dhanpe
gard hi sar pe ghaTaon ki misal aa jae
chhoD de wo mujhe taklif mein mumkin to nahin
aur agar aisi kabhi surat-e-haal aa jae
us ghaDi puchhunga tujh se ye jahan kaisa hai
jab tere husn pe thoDa sa zawal aa jae
kuchh nahin hai to bhulana hi use sikh 'adim'
zindagi mein tujhe koi to kamal aa jae
Ghazal
Kyun mere lab pe wafaon ka sawal aa jae
Adeem Hashmi