اردو हिंदी
Kyun masafat mein na aae yaad apna ghar mujhe | Shaahi Shayari
kyun masafat mein na aae yaad apna ghar mujhe

Ghazal

Kyun masafat mein na aae yaad apna ghar mujhe

Fauq Ludhianvi

;

kyun masafat mein na aae yaad apna ghar mujhe
Thokaren dene lage hain rah ke patthar mujhe

kis ka ye ehsas jaga dopahar ki dhup mein
DhunDne nikla hai nange panw nange sar mujhe

jis mein aasuda raha main wo tha kaghaz ka makan
ek hi jhonka hawa ka kar gaya be-ghar mujhe

main to in aalaishon se dur ek aaina tha
aa laga hai meri apni soch ka patthar mujhe

aa gaya tha main sitam ki bastiyon ko raund kar
kya KHabar thi KHud nigal jaega apna ghar mujhe

ab ana ki chaar-diwari ko girna chahiye
qaid kar rakkha hai apni zat ke andar mujhe

'fauq' sailab-e-gham-e-dauran baha kar le gaya
dekhta hi rah gaya ek husn ka paikar mujhe