kyun malamat ka hadaf gardish-e-paimana bane
laghzish-e-pa se meri kaba-o-but-KHana bane
aql ke bas ki nahin baKHiya-giri phulon ki
dard jis ko ho gulistan ka wo diwana bane
lab-e-hikmat se shab-o-roz ujale Tapke
tira-zehni ka magar ye bhi mudawa na bane
be-sabab shauq nahin mail-e-afsana-gari
har haqiqat ki ye KHwahish hai ki afsana bane
ruKH-e-jaanan ke tasawwur hi mein raaten guzrin
chand-tare dil-e-mahjur ki duniya na bane
aashna fasl-e-bahaaran hi nahin hai shayad
kya kahin phul ki kyun sabza-e-begana bane
main to hun sham-sifat-soz sarapa 'shibli'
jis ko jalna nahin aata ho wo parwana bane
Ghazal
Kyun malamat ka hadaf gardish-e-paimana bane
Alqama Shibli