اردو हिंदी
Kyun malamat is qadar karte ho be-hasil hai ye | Shaahi Shayari
kyun malamat is qadar karte ho be-hasil hai ye

Ghazal

Kyun malamat is qadar karte ho be-hasil hai ye

Abroo Shah Mubarak

;

kyun malamat is qadar karte ho be-hasil hai ye
lag chuka ab chhuTna mushkil hai us ka dil hai ye

be-qarari sin na kar zalim hamare dil kun mana
kyun na taDpe KHak o KHun mein is qadar bismil hai ye

ishq kun majnun ke aflatun samajh sakta nahin
go ki samjhawe pe samjhega nahin aaqil hai ye

kaun samjhawe mere dil kun koi munsif nahin
ghair-e-haq ko chahta hai kyun ita baatil hai ye

kaun hai insan ka koi dost aisa jo kahe
maut us ki fikr mein lagi hai aur ghafil hai ye

aashiqi ke fan mein hai dil sin jhagaDna be-hisab
kuchh nahin baqi rakha is ilm mein fazil hai ye

hum to kahte the ki phir pane ke nahin jaane na do
ab gae par 'abru' phir paiye mushkil hai ye