kyun main bar-e-digar jaun
phir se us ke dar jaun
tujh aankhon se jahan dekhun
be-rangi se Dar jaun
tu chahe to ji uTThun
tu chahe to mar jaun
main be-ant samundar hun
kaise dariya mein utar jaun
chadar-e-shab hun main teri
tu oDhe to sanwar jaun
KHwab na dekhun to 'amabar'
shayad main bhi mar jaun

Ghazal
Kyun main bar-e-digar jaun
Nadiya ambar lodhi