اردو हिंदी
Kyun KHafa tu hai kya kaha maine | Shaahi Shayari
kyun KHafa tu hai kya kaha maine

Ghazal

Kyun KHafa tu hai kya kaha maine

Abdul Rahman Ehsan Dehlvi

;

kyun KHafa tu hai kya kaha main ne
mar kaha tu ne marhaba main ne

kyun surahi-e-mai ko de paTka
tu ne toDa ya bewafa main ne

na-tawani mein ye tawanai
dil ko tujh se uTha diya main ne

de ke ye tujh ko ye liya ki diya
gauhar-e-be-baha liya main ne

kyun KHum-e-mai ko mohtasib toDa
kya kiya main ne kya kiya main ne

kyun na ruk ruk ke aae dam mera
tujh ko dekha ruka ruka main ne

gul hazaron mein shama-e-aish 'ehsan'
jaise us gul ko dil diya main ne