kyun KHafa ho kyun idhar aate nahin
dekhta hun tum nazar aate nahin
wo ye kah kar dagh dete hain mujhe
phul se pahle samar aate nahin
hum hain wo mai-nosh pi kar bhi kabhi
mai-kade se be-KHabar aate nahin
dekhta hun un ki surat dekh kar
dhup mein tare nazar aate nahin
nind to kya nind ke jhonke 'aziz'
hijr mein waqt-e-sahar aate nahin
Ghazal
Kyun KHafa ho kyun idhar aate nahin
Aziz Hyderabadi