kyun-kar na lae rang gulistan nae nae
gate hain rag murgh-e-KHush-alhan nae nae
shaer nae nae hain suKHan-dan nae nae
paida hue hain ab to ghazal-KHwan nae nae
dilbar mata-e-dil ke hain KHwahan nae nae
karta hai husn ishq ke saman nae nae
aaseb-e-ishq sar se utarta nahin mere
likhta hai naqsh roz pari-KHwan nae nae
bahka ke tum ko koi laga le na rah par
nikle ho aaj ghar se meri jaan nae nae
zoron pe hain junun ki badaulat hamare hath
hote hain tar tar gareban nae nae
har roz ek wadi-e-nau sair-gah hai
wahshat dikha rahi hai bayaban nae nae
kis darja tang hun tere hathon se ai junun
laun kahan se roz gareban nae nae
gham ka guzar hai gah gahe KHurmi ka daKHl
aate hain roz ghar mere mehman nae nae
surat se ek pari ki hamein ishq-e-taza hai
diwane hum hue hain sulaiman nae nae
har martaba zamane ko hota hai inqalab
lati hai swang gardish-e-dauran nae nae
mulk-e-adam hai ya koi nangon ka shahr hai
har roz wan se aate hain uryan nae nae
ek taza gul ka samna hota hai har baras
deta hai dagh dil pe gulistan nae nae
paband ek maqam ke hote nahin hain mard
sheron ke waste hain niyastan nae nae
us zulf ke KHayal mein aankhen to band kar
dikhlai denge KHwab-e-pareshan nae nae
kis kis tarah se chehre pe lahra ke aati hai
karti hai naz zulf-e-pareshan nae nae
aaThon pahar hai ab to tabahi ka samna
uThte hain roz ashk ke tufan nae nae
roega kohna-sali mein ahd-e-shabab ko
jab TuT kar na niklenge dandan nae nae
phirta nahin wo dast-e-nigarin kisi tarah
karta hai zor panja-e-marjaan nae nae
kar sair chashm-e-ghaur se jo zauq-e-sher hai
mazmun dikhaega mera diwan nae nae
hans hans ke bar bar na kyun-kar dikhaen aap
nam-e-KHuda nikale hain dandan nae nae

Ghazal
Kyun-kar na lae rang gulistan nae nae
Rind Lakhnavi