اردو हिंदी
Kyun kar chubhe na aankh mein gul Khaar ki tarah | Shaahi Shayari
kyun kar chubhe na aankh mein gul Khaar ki tarah

Ghazal

Kyun kar chubhe na aankh mein gul Khaar ki tarah

Dattatriya Kaifi

;

kyun kar chubhe na aankh mein gul KHar ki tarah
bhai hai dil ko ek trahdar ki tarah

haalat talash-e-yar mein ye ho gai meri
jata hun baiTh baiTh dil-e-zar ki tarah

kya dil mein KHar rashk-e-ruKH-e-yar ka chubha
bigDi hui hai kyun gul-e-gulzar ki tarah

hai kuchh na kuchh wahan bhi asar dard-e-ishq ka
aankh un ki bhi hai is dil-e-bimar ki tarah

ai kash mere tar-e-rag-e-jaan ko toD de
qatil ki tegh yar ke iqrar ki tarah

'kaifi' biThaen aankhon pe kyun aap ko na log
chubhti hui hai aap ke ashaar ki tarah