kyun kahun qamat ko tere ai but-e-raana alif
aur kuchh KHubi nahin rakhta hai ek sidha alif
jaisa hai us barhaman zade ke qashqe ka alif
likh nahin sakta hai koi KHush-nawis aisa alif
jab se di talim-e-girya ustad-e-ishq ne
taKHta-e-sina pe tifl-e-ashk ne khincha alif
wasf-beni mein ye kya misra zaban par aa gaya
us ki bini hai buland aur us se hai chhoTa alif
gard hai naqsh-o-nigar-e-chin un ke ru-ba-ru
hain rida-e-faqr par is tarah ke zeba alif
qatl ko aashiq ke angusht-e-ishaarat kar buland
teri angusht-e-ishaarat hai shahadat ka alif
sar-kashi karta hai yun har aan mera nafs-e-shum
jis tarah se dam-ba-dam ho jae hai ghoDa alif
itne par bhi zat-e-wahid se hain ghafil naqisan
khinch raha hai mu-e-tan se tan pe sar-ta-pa alif
Ghazal
Kyun kahun qamat ko tere ai but-e-raana alif
Joshish Azimabadi