اردو हिंदी
Kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun | Shaahi Shayari
kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun

Ghazal

Kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun

Bekhud Dehlvi

;

kyun kah ke dil ka haal use bad-guman karun
ye raaz wo nahin hai jise main bayan karun

mujh ko ye zid ki wasl ka iqrar tum se lun
tum ko ye haT ki main na kabhi tujh se han karun

ye kah rahi hai mujh se kisi ki nigah-e-sharm
fursat agar haya se mile shoKHiyan karun

tu mujh ko aazma ke wafa-dariyon mein dekh
main bewafaiyon mein tera imtihan karun

ukta gaya hai shara ki pabandiyon se ji
dil chahta hai baiat-e-pir-e-mughan karun

'beKHud' rafiq hai na koi ham-tariq hai
dil par jo kuchh guzarti hai kis se bayan karun