kyun jal-bujhe kahin to giraftar bolte
zindan mein chup rahe to sar-e-dar bolte
ghar ghar yahan tha gosh-bar-awaz der se
aati sada to sab dar-o-diwar bolte
hota tumhaare KHun ka dariya jo maujzan
tufan samundaron mein ba-yak-bar bolte
deta tumhaara nutq dahai to fitratan
lauh-o-qalam ke baam se fankar bolte
tum bolte agar to tumhaari nida ke sath
basti ke sare kucha-o-bazar bolte
ab KHalwaton mein shor machane se faeda
tha hausla to bar-sar-e-darbar bolte
dast-e-KHizan tha KHana-bar-andaz jis ghaDi
kyun gung the chaman ke parastar bolte
suraj ne kitne jism jalae hain rah mein
itna to zer-e-saya-e-diwar bolte
lata wafa ki jins jo bazar mein koi
boli ba-qadr-e-zarf-e-KHaridar bolte
'zulfi' kali kali mein machalta naya lahu
aata wo sail-e-rang ki gulzar bolte

Ghazal
Kyun jal-bujhe kahin to giraftar bolte
Saif Zulfi