kyun hamein maut ke paigham diye jate hain
ye saza kam to nahin hai ke jiye jate hain
hum hain ek shama magar dekh ke bujhte bujhte
raushni kitne andheron ko diye jate hain
nashsha donon mein hai saqi mujhe gham de ke sharab
mai bhi pi jati hai aansu bhi piye jate hain
un ke qadmon pe na rakh sar ke hai ye be-adabi
pa-e-nazuk to sar-ankhon pe liye jate hain
tujh ko barson se hai kyun tark-e-talluq ka KHayal
faisle wo hain jo pal-bhar mein liye jate hain
apni tariKH-e-mohabbat ke wahi hain suqraat
hans ke har sans pe jo zahr piye jate hain
aabginon ki tarah dil hain gharibon ke 'shamim'
TuT jate hain kabhi toD diye jate hain

Ghazal
Kyun hamein maut ke paigham diye jate hain
Shamim Jaipuri