kyun gham-e-raftagan kare koi
fikr-e-wamandgan kare koi
tere aawargan-e-ghurbat ko
shamil karwan kare koi
zindagi ke azab kya kam hain
kyun gham-e-la-makan kare koi
dil Tapakne laga hai aankhon se
ab kise raazdan kare koi
us chaman mein ba-rang-e-nikhat-e-gul
umr kyun raegan kare koi
shahr mein shor ghar mein tanhai
dil ki baaten kahan kare koi
ye KHarabe zarur chamkenge
e'tibar-e-KHizan kare koi
Ghazal
Kyun gham-e-raftagan kare koi
Nasir Kazmi