kyun fana se Daren baqa kya hai
bujh gaya dil hi jab raha kya hai
bhar gaya kyun tasannoat se ji
parda aankhon se uTh gaya kya hai
surma-e-dida-ha-e-ahl-e-nazar
ban gai hai jo KHak-e-pa kya hai
kaise duniya wajud mein aai
aafrinash ka muddaa kya hai
jis mein arbon jahan samae hain
wo faza kya hai wo KHala kya hai
chand ki samt hain dawan maujen
kya kashish hai ye majra kya hai
phail jati hai kis tarah aawaz
aankh ka sehr hai ziya kya hai
jism-e-be-ruh ko KHabar hi nahin
duKHma kya gor kya chita kya hai
kya jamadat se bhi kam hai bashar
zar ki puja se muddaa kya hai
aks hai aks har shabih yahan
gunj hi gunj hai sada kya hai
Ghazal
Kyun fana se Daren baqa kya hai
Syed Hamid

