kyun diya tha? bata! meri viraniyon mein sahaara mujhe
main udasi ke malbe tale dafn thi, kyun nikala mujhe
aisi nazuk thi ghar ke parindon se bhi KHauf khati thi main
ye kahan, kin darindon ke jangal mein phenka hai tanha mujhe
KHwab TuTe the aur kirchiyan ab bhi aankhon mein paiwast hain
ab ye kis munh se phir KHwab ki anjuman ne pukara mujhe
aaTh tak to ye ginti bhi aasan thi tu ne paDh li, so ab
calculator pakaD aur suna! apna nau ka pahaDa mujhe
yar tha tu kabhi, teri nazmen hamesha salamat rahen
dagh dene ko phir ye rida chahiye to batana mujhe
bas yunhi dard ka abr sheron ki barish mein Dhalta gaya
warisan-e-suKHan! koi tamgha nahin hai kamana mujhe
koi aisa tariqa bata teri aawaz ko chum lun
uff ye tera fariha! meri jaan kah kar bulana mujhe
Ghazal
Kyun diya tha? bata! meri viraniyon mein sahaara mujhe
Fariha Naqvi