kyun DhunDhti rahti hun use sare jahan mein
wo shaKHs ki rahta hai mere dil ke makan mein
main wo nahin kahte hain jo kuchh aur karen aur
jo kuchh hai mere dil mein wahi mere bayan mein
ya-rab teri rahmat jo kabhi josh mein aae
main soch bhi paun na kabhi wahm-o-guman mein
kya zikr ki is zist mein kuchh khoya ki paya
ab kuchh bhi to rakkha nahin is sud o ziyan mein
masruf hun itni ki tawajjoh nahin deti
deta hai sada koi mujhe qarya-e-jaan mein
wo sang kabhi mom ki surat bane 'nusrat'
ab itna asar laun kahan apni zaban mein
Ghazal
Kyun DhunDhti rahti hun use sare jahan mein
Saba Nusrat