kyun dekhte hi naqsh-ba-diwar ban gae
tum aaine mein kis ke KHaridar ban gae
bijli chhalawa fitna qayamat ghazab bala
main kya kahun wo kya dam-e-raftar ban gae
bazar-e-dahr ka to yahi karobar hai
do-chaar agar bigaD gae do-chaar ban gae
ek sair thi maze ki ye aaraishon ke waqt
sau bar wo bigaD gae sau bar ban gae
han han unhin ke pichhe to di hai 'sharaf' ne jaan
aa kar hansi-KHushi jo aza-dar ban gae

Ghazal
Kyun dekhte hi naqsh-ba-diwar ban gae
Sharaf Mujaddidi