اردو हिंदी
Kyun Daraate ho mujhe maut ka saya ban kar | Shaahi Shayari
kyun Daraate ho mujhe maut ka saya ban kar

Ghazal

Kyun Daraate ho mujhe maut ka saya ban kar

Kumar Pashi

;

kyun Daraate ho mujhe maut ka saya ban kar
mere sine mein utar jao ujala ban kar

kyun nahin chalte ki jaana hai bahut dur abhi
kyun yahan ruk gae bekar tamasha ban kar

TuT kar bujh gae aakash ke sare suraj
aur main rah gaya is dahr mein andha ban kar

main hi ek zahar laga apnon ko beganon ko
main hi ek qatl hua shahar mein sachcha ban kar

kyun bhala chhoD nahin deta wo tanha mujh ko
kyun mere sath laga rahta hai saya ban kar