اردو हिंदी
Kyun chhupate ho kidhar jaana hai | Shaahi Shayari
kyun chhupate ho kidhar jaana hai

Ghazal

Kyun chhupate ho kidhar jaana hai

Balwan Singh Azar

;

kyun chhupate ho kidhar jaana hai
dasht se kah do ki ghar jaana hai

mujh mein bhi pahle uThenge tufan
phir KHamoshi ko pasar jaana hai

koi kahta hai ki main malba hun
kisi ne mujh ko khanDar jaana hai

KHak to KHak pe aa baiThegi
KHak ko uD ke kidhar jaana hai

us ki nadani to dekho 'azar'
phir se diwar ko dar jaana hai