kyun bhaTakti sahra mein ghar bhi ek KHaraba tha
be-nishan udasi ka be-aman ahata tha
jab kabhi nazar aaya KHwab mein nazar aaya
wo jahan pe rahta tha kaun sa ilaqa tha
daKHli kashakash se ba-KHabar to ho jata
zehn sochta kya tha dil ka kya taqaza tha
us ne haal jab puchha main bhi muskura uTThi
ek wahi to lamha tha jab mujhe ifaqa tha
us ki chashm-e-kam-kam se zaKHm-e-dil ne jo paya
gulsitan ke phulon mein ek naya izafa tha
an-kahi kahani se in adhuri sanson tak
bas ye nim-jaani hi mera kul asasa tha
meri jaan jaisi thi aur jis jagah par thi
aisi sari baaton ka sher hi KHulasa tha
'sadiya' ki hairani aaj tak nahin jati
kaun tha tamashai kis ka wo tamasha tha
Ghazal
Kyun bhaTakti sahra mein ghar bhi ek KHaraba tha
Sadiya Roshan Siddiqui