kyun baiTh gae ghubar se hum
kuchh kah na sake bahaar se hum
ye zindagi umr bhar ka rona
ghabra gae intizar se hum
wo jabr ki lazzaton ka aalam
baz aae is iKHtiyar se hum
hanste hain ki hans sake zamana
KHush hain to is e'tibar se hum
yun bhi to sukun mila hai barson
phirte rahe be-qarar se hum
wo lamha hai aaj tak gurezan
jab tum se the ham-kanar se hum
ab aaKHir-e-shab 'nazar' hai shayad
phir jaise hain hoshiyar se hum

Ghazal
Kyun baiTh gae ghubar se hum
Qayyum Nazar