اردو हिंदी
Kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap | Shaahi Shayari
kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap

Ghazal

Kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap

Murli Dhar Shad

;

kyun bahaar aate hi pahlu mein bujha aap hi aap
ya-ilahi mere dil ko hua kya aap hi aap

KHat mein likkha hua aaega judai ka payam
KHwab mein KHat ke hue harf juda aap hi aap

nabzen Dubi hui bimar ki paen shayad
hath mil kar koi baalin se uTha aap hi aap

na talab thi mere dil ki na ishaara un ka
jam lene ko mera hath baDha aap hi aap

ishq-e-sadiq ka kahin zikr hua tha shayad
us ne mahfil mein mera nam liya aap hi aap

sham-e-mahfil tumhein kahta tha zamana dekha
hua parwana uD ke fida aap hi aap

jazb-e-dil ka ye asar bazm-e-adu mein bhi hua
kasmasate hue kuchh us ne kaha aap hi aap

shoKHi-e-husn jigar-soz ka ima ye na tha
bigDi hai shama ki mahfil mein hawa aap hi aap

tum ne dushman se kahin aankh laDai hogi
kyun hua tir-e-nazar aaj KHata aap hi aap

'shad' ne aaj ye maqtal mein tamasha dekha
dast-e-qatil se lagi uDne hina aap hi aap