kyun aur zaKHm sine pe khao ho dosto
kahe kisi se aas lagao ho dosto
ek aabru bachi hai so rakhiyo sambhaal ke
kis pas kya gharaz liye jao ho dosto
pahunche wahin hain aaj jahan se chale the hum
ab rah kaun aur dikhao ho dosto
is taba se to KHud hi pareshan hai ye dil
Thes us ko aur kahe lagao ho dosto
jaur-o-jafa-e-yar ke ye uzr wah KHub
ye kaisi baat hum ko batao ho dosto
muddat hui ki KHatm hua us gali mein sab
ab aur kis ke kuche mein jao ho dosto
Ghazal
Kyun aur zaKHm sine pe khao ho dosto
sulaiman ahmad mani